Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm ko pur-bahaar dekha hai

Irsa Mubeen

zaKHm ko pur-bahaar dekha hai

Irsa Mubeen

MORE BYIrsa Mubeen

    zaḳhm ko pur-bahār dekhā hai

    jab se vo rahguzār dekhā hai

    ek ummīd ke sabab maiñ ne

    aap ko baar baar dekhā hai

    munharif jo huā tire dar se

    bas yuuñ ḳhaar ḳhaar dekhā hai

    chāñd meñ Dūbtā huā sāgar

    ek manzar ke paar dekhā hai

    maujzan aañkh tak na dekh sakī

    jo dil-e-dāġhdār dekhā hai

    zaKHm ko pur-bahaar dekha hai

    jab se wo rahguzar dekha hai

    ek ummid ke sabab main ne

    aap ko bar bar dekha hai

    munharif jo hua tere dar se

    bas yun hi KHar KHar dekha hai

    chand mein Dubta hua sagar

    ek manzar ke par dekha hai

    maujzan aankh tak na dekh saki

    jo dil-e-daghdar dekha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now