zaKHm ko zaKHm nahin jism ki zinat samjho
zaḳhm ko zaḳhm nahīñ jism kī zīnat samjho
zinda dil ho to har ik ranj ko rāhat samjho
sādgī itnī bhī achchhī nahīñ nādāñ na bano
pyaar ko pyaar adāvat ko adāvat samjho
shāḳh-e-gul se mujhe tashbīh na do zid na karo
aag meñ jaltī huī koī imārat samjho
jald-bāzī meñ koī raa.e na qaa.em kar lo
ġhaur se ḳhat ko paḌho ḳhat kī ibārat samjho
ek bedār nafas shahr meñ zinda hai abhī
qadr-dārān-e-junūñ ye bhī ġhanīmat samjho
ḳhud-numā.ī kā zarīya huuñ mirī qadr karo
aa.ina huuñ mujhe chehroñ kī amānat samjho
talḳh-go ho ke bhī har haal meñ muḳhlis huuñ 'azīz'
merī aadat ko na dekho mirī fitrat samjho
zaKHm ko zaKHm nahin jism ki zinat samjho
zinda dil ho to har ek ranj ko rahat samjho
sadgi itni bhi achchhi nahin nadan na bano
pyar ko pyar adawat ko adawat samjho
shaKH-e-gul se mujhe tashbih na do zid na karo
aag mein jalti hui koi imarat samjho
jald-bazi mein koi rae na qaem kar lo
ghaur se KHat ko paDho KHat ki ibarat samjho
ek bedar nafas shahr mein zinda hai abhi
qadr-daran-e-junun ye bhi ghanimat samjho
KHud-numai ka zariya hun meri qadr karo
aaina hun mujhe chehron ki amanat samjho
talKH-go ho ke bhi har haal mein muKHlis hun 'aziz'
meri aadat ko na dekho meri fitrat samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.