zaKHm koi phul jaisa khil gaya to kya kahun
zaḳhm koī phuul jaisā khil gayā to kyā kahūñ
haath titlī kā agar phir chhil gayā to kyā kahūñ
shaḳhs koī yaad aatā hai mujhe ik umr se
sochtā huuñ gar kabhī vo mil gayā to kyā kahūñ
der se Thahrā huā thā taash ke mīnār sā
ek pattā phir achānak hil gayā to kyā kahūñ
baat dil kī aaj us se bolne kā dil kiyā
chup rahā ye soch kar ḳhud dil gayā to kyā kahūñ
haañ shikāyat thī mujhe par kuchh nahīñ maiñ ne kahā
hoñT koī jab nazar se sil gayā to kyā kahūñ
zaKHm koi phul jaisa khil gaya to kya kahun
hath titli ka agar phir chhil gaya to kya kahun
shaKHs koi yaad aata hai mujhe ek umr se
sochta hun gar kabhi wo mil gaya to kya kahun
der se Thahra hua tha tash ke minar sa
ek patta phir achanak hil gaya to kya kahun
baat dil ki aaj us se bolne ka dil kiya
chup raha ye soch kar KHud dil gaya to kya kahun
han shikayat thi mujhe par kuchh nahin main ne kaha
honT koi jab nazar se sil gaya to kya kahun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.