zaKHm kyon dil pe lagate ho jo bharne ke nahin
zaKHm kyon dil pe lagate ho jo bharne ke nahin
Zafar Ahmad Siddiqi
MORE BYZafar Ahmad Siddiqi
zaḳhm kyoñ dil pe lagāte ho jo bharne ke nahīñ
miT ga.e naqsh vafā ke to ubharne ke nahīñ
ham ko us auj-e-sharaf tak hai rasā.ī mushkil
aap us masnad-e-naḳhvat se utarne ke nahīñ
aisā gulshan kī siyāsat ne kiyā hai pāband
ham asīrān-e-qafas aah bhī karne ke nahīñ
baḌh ga.ī kākul-e-hastī kī pareshānī aur
jā.iye aap se gesū ye sañvarne ke nahīñ
kitne sailāb-e-balā jhel chuke haiñ ham log
ab kisī shorish-e-amvāj se Darne ke nahīñ
zaKHm kyon dil pe lagate ho jo bharne ke nahin
miT gae naqsh wafa ke to ubharne ke nahin
hum ko us auj-e-sharaf tak hai rasai mushkil
aap us masnad-e-naKHwat se utarne ke nahin
aisa gulshan ki siyasat ne kiya hai paband
hum asiran-e-qafas aah bhi karne ke nahin
baDh gai kakul-e-hasti ki pareshani aur
jaiye aap se gesu ye sanwarne ke nahin
kitne sailab-e-bala jhel chuke hain hum log
ab kisi shorish-e-amwaj se Darne ke nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.