zaKHm mahsus na ho nind zara aane do
zaḳhm mahsūs na ho niiñd zarā aane do
phir kisī ḳhvāb meñ mar jā.ūñ to mar jaane do
kitnā lambā hai safar ḳhud se guzar hone kā
thak chukā huuñ maiñ kahīñ chain se so jaane do
maiñ bahut duur se aaya huuñ ik ummīd liye
baiThne mat do magar naam to batlāne do
phir shab-e-vasl kuchh is taur se ābād huī
jaise milne ko hue dasht ke vīrāne do
zaKHm mahsus na ho nind zara aane do
phir kisi KHwab mein mar jaun to mar jaane do
kitna lamba hai safar KHud se guzar hone ka
thak chuka hun main kahin chain se so jaane do
main bahut dur se aaya hun ek ummid liye
baiThne mat do magar nam to batlane do
phir shab-e-wasl kuchh is taur se aabaad hui
jaise milne ko hue dasht ke virane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.