Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm mere dil pe ek aisa laga

Yaseen Afzal

zaKHm mere dil pe ek aisa laga

Yaseen Afzal

MORE BYYaseen Afzal

    zaḳhm mere dil pe ik aisā lagā

    apnī jaañ ruuh ko dhaḌkā lagā

    us chehra bhī jo auroñ lagā

    āsmāñ pe chāñd miTTī lagā

    dekhtā kyā kyā kanār-e-ābjū

    ḳhud maiñ apne aap ko ulTā lagā

    ḳhud-numā.ī ke bhare ik shahr meñ

    apne qad se har koī ūñchā lagā

    raushnī dil achānak gul huī

    ḳhud ko thoḌī der meñ andhā lagā

    saa.e meñ us ke talab dhuup thī

    dhuup meñ vo niim saayā lagā

    zindagī se haath ham ne dho liye

    vaqt ik bahtā huā dariyā lagā

    zaKHm mere dil pe ek aisa laga

    apni jaan ka ruh ko dhaDka laga

    us ka chehra bhi jo auron sa laga

    aasman pe chand miTTi ka laga

    dekhta kya kya kanar-e-abju

    KHud main apne aap ko ulTa laga

    KHud-numai ke bhare ek shahr mein

    apne qad se har koi uncha laga

    raushni dil ki achanak gul hui

    KHud ko thoDi der mein andha laga

    sae mein us ke talab ki dhup thi

    dhup mein wo nim ka saya laga

    zindagi se hath hum ne dho liye

    waqt ek bahta hua dariya laga

    Source :
    • Book : Pani Patthar (Pg. 94)
    • Author : Yasiin Afzaal
    • Publication : Maktaba Fikr-e-Nav (1986)
    • Edition : 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now