zaKHm mohabbat pagalpan bimari talab kuchh hai
zaḳhm mohabbat pāgalpan bīmārī talab kuchh hai
ġhazal ko hai darkār ye saarā kuchh sāhab kuchh hai
chup kyoñ nahīñ baiThe the jab kahne ko kuchh nahīñ thā
aur ab kyoñ chup baiThe ho kahne ko jab kuchh hai
'ishq ke sur dil se aise hī kahāñ nikalte haiñ
saaz ustād ne chheḌā to sangīt sā ab kuchh hai
ik din dikh jā.egā shāyad sab kuchh maayā hai
us din tak to lekin ye maayā hī sab kuchh hai
varna kuchh bhī kah ke bulā letā thā jo ham ko
aaj 'anant' kahā us ne is kā matlab kuchh hai
zaKHm mohabbat pagalpan bimari talab kuchh hai
ghazal ko hai darkar ye sara kuchh sahab kuchh hai
chup kyon nahin baiThe the jab kahne ko kuchh nahin tha
aur ab kyon chup baiThe ho kahne ko jab kuchh hai
'ishq ke sur dil se aise hi kahan nikalte hain
saz ustad ne chheDa to sangit sa ab kuchh hai
ek din dikh jaega shayad sab kuchh maya hai
us din tak to lekin ye maya hi sab kuchh hai
warna kuchh bhi kah ke bula leta tha jo hum ko
aaj 'anant' kaha us ne is ka matlab kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.