zaḳhm rakh denā daaġh rakh denā
siina siina charāġh rakh denā
sapnā sapnā mahak mahak jā.ūñ
merī nīñdoñ meñ baaġh rakh denā
jism ke sur tamām chheḌūñgā
uñgliyoñ meñ dimāġh rakh denā
chaah kī be-qarār nabzoñ par
baḌh ke dast-e-surāġh rakh denā
tapte hoñToñ se maiñ bhī chhū lūñgā
muskurāte ayāġh rakh denā
sard lamhoñ kī taaq par apnā
sho.ala-sāmāñ dimāġh rakh denā
zaKHm rakh dena dagh rakh dena
sina sina charagh rakh dena
sapna sapna mahak mahak jaun
meri nindon mein bagh rakh dena
jism ke sur tamam chheDunga
ungliyon mein dimagh rakh dena
chah ki be-qarar nabzon par
baDh ke dast-e-suragh rakh dena
tapte honTon se main bhi chhu lunga
muskuraate ayagh rakh dena
sard lamhon ki taq par apna
shoala-saman dimagh rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.