zaKHm sare abhi jawan honge
zaḳhm saare abhī javāñ hoñge
bistar-e-hijr par 'ayāñ hoñge
hākim-e-vaqt kab talak āḳhir
apne gaañv meñ ḳhāk-dāñ hoñge
maiñ ne tum ko kahāñ kahāñ chhuā hai
jaan maujūd vo nishāñ hoñge
tujh ko taklīf dene vaale log
kal ko tere hī pāsbāñ hoñge
in dukhoñ ko sañbhāl kar rakhnā
in se hāsil ka.ī jahāñ hoñge
har taraf hī dhuāñ-dhuāñ hogā
jab jahāñ se sabhī dhuāñ hoñge
naaz hai apne aap par jin ko
mere jaise vo ḳhush-gumāñ hoñge
har ghaḌī har-sū hazrat-e-'bismil'
tere aur ġham ke darmiyāñ hoñge
zaKHm sare abhi jawan honge
bistar-e-hijr par 'ayan honge
hakim-e-waqt kab talak aaKHir
apne ganw mein KHak-dan honge
main ne tum ko kahan kahan chhua hai
jaan maujud wo nishan honge
tujh ko taklif dene wale log
kal ko tere hi pasban honge
in dukhon ko sanbhaal kar rakhna
in se hasil kai jahan honge
har taraf hi dhuan-dhuan hoga
jab jahan se sabhi dhuan honge
naz hai apne aap par jin ko
mere jaise wo KHush-guman honge
har ghaDi har-su hazrat-e-'bismil'
tere aur gham ke darmiyan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.