zaKHm se wasta na tha pahle
zaḳhm se vāsta na thā pahle
phuul aisā khilā na thā pahle
apne chehre kā haal kyā khultā
haath meñ aa.ina na thā pahle
ishq uftād-e-nā-gahānī hai
hādisa ye huā na thā pahle
ham ne bhī ik zamāna dekhā hai
itnā qaht-e-vafā na thā pahle
ishq ham ne bhī to kiyā hai 'ziyā'
vaqt itnā burā na thā pahle
zaKHm se wasta na tha pahle
phul aisa khila na tha pahle
apne chehre ka haal kya khulta
hath mein aaina na tha pahle
ishq uftad-e-na-gahani hai
hadisa ye hua na tha pahle
hum ne bhi ek zamana dekha hai
itna qaht-e-wafa na tha pahle
ishq hum ne bhi to kiya hai 'ziya'
waqt itna bura na tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.