hota hai miTne hi ke liye har laga hua
hotā hai miTne hī ke liye har lagā huā
lekin vo ek daaġh na lag kar lagā huā
dil baiTh baiTh jaatā hai ā.īna dekh kar
jaane ye kaisā rog hai bhītar lagā huā
aise hī baat baat pe rotā nahīñ huuñ maiñ
ik zaḳhm hai kahīñ mire andar lagā huā
andar bichhā huā hai koī jaal aur hī
daam aur hai dukān ke bāhar lagā huā
Dartā bhī huuñ ki ho hī na jaa.e kahīñ vo kaam
ik 'umr se huuñ jis meñ barābar lagā huā
hotā nahīñ javān laḌakpan ke baa'd bhī
lagtā nahīñ ġharīb kā number lagā huā
vo ittifāq se mirā mahbūb hai to kyā
jachtā hai ek shaḳhs hī afsar lagā huā
'javvād' zindagī kī tarah thī koī saḌak
donoñ taraf qatār meñ kīkar lagā huā
hota hai miTne hi ke liye har laga hua
lekin wo ek dagh na lag kar laga hua
dil baiTh baiTh jata hai aaina dekh kar
jaane ye kaisa rog hai bhitar laga hua
aise hi baat baat pe rota nahin hun main
ek zaKHm hai kahin mere andar laga hua
andar bichha hua hai koi jal aur hi
dam aur hai dukan ke bahar laga hua
Darta bhi hun ki ho hi na jae kahin wo kaam
ek 'umr se hun jis mein barabar laga hua
hota nahin jawan laDakpan ke ba'd bhi
lagta nahin gharib ka number laga hua
wo ittifaq se mera mahbub hai to kya
jachta hai ek shaKHs hi afsar laga hua
'jawwad' zindagi ki tarah thi koi saDak
donon taraf qatar mein kikar laga hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.