zaKHm sunte hain lahu bolta hai
zaḳhm sunte haiñ lahū boltā hai
chaak chup hai to rafū boltā hai
ḳhāmushī aisī ki dekhī na sunī
har taraf ālam-e-hū boltā hai
ḳhvāb samjhūñ ki haqīqat is ko
ik parinda lab-e-jū boltā hai
maiñ ki mar kar bhī abhī zinda huuñ
jism par har sar-e-mū boltā hai
ab to ik naam atā kar yārab
kas-o-nā-kas mujhe tū boltā hai
vo namāzeñ ki adā ho na sakīñ
ab bhī sahrā meñ vuzū boltā hai
zaKHm sunte hain lahu bolta hai
chaak chup hai to rafu bolta hai
KHamushi aisi ki dekhi na suni
har taraf aalam-e-hu bolta hai
KHwab samjhun ki haqiqat is ko
ek parinda lab-e-ju bolta hai
main ki mar kar bhi abhi zinda hun
jism par har sar-e-mu bolta hai
ab to ek nam ata kar yarab
kas-o-na-kas mujhe tu bolta hai
wo namazen ki ada ho na sakin
ab bhi sahra mein wuzu bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.