zaKHm taza kiye kuchh aur masihai ne
zaḳhm taaza kiye kuchh aur masīhā.ī ne
pher lī aañkh tamāshe se tamāshā.ī ne
dekhne vaale kā dil haath pe le aa.ī hai
kyā fusūñ phūñk diyā hai tirī añgḌā.ī ne
muskurā.ūñ to namī aañkh meñ aa jaatī hai
yuuñ uchhālā hai mujhe dard kī gahrā.ī ne
āh-o-zārī ke sivā paas mire kuchh bhī nahīñ
kaaT kar rakh diyā mujh ko mirī tanhā.ī ne
ḳhaak meñ mil gayā pindār-e-vafā kyā kiije
zaḳhm vo dil pe lagāyā hai shanāsā.ī ne
zaKHm taza kiye kuchh aur masihai ne
pher li aankh tamashe se tamashai ne
dekhne wale ka dil hath pe le aai hai
kya fusun phunk diya hai teri angDai ne
muskuraun to nami aankh mein aa jati hai
yun uchhaala hai mujhe dard ki gahrai ne
aah-o-zari ke siwa pas mere kuchh bhi nahin
kaT kar rakh diya mujh ko meri tanhai ne
KHak mein mil gaya pindar-e-wafa kya kije
zaKHm wo dil pe lagaya hai shanasai ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.