zaKHm taza tha to gahrai ka andaza na tha
zaḳhm taaza thā to gahrā.ī kā andāza na thā
ab gumāñ hotā hai us ko chāhnā achchhā na thā
maiñ ki dast-e-hāl meñ thā haal se bhī be-ḳhabar
pusht par maazī kī yādeñ sāmne fardā na thā
vo mirī nas nas meñ kaise dard ban kar rah gayā
mere us ke darmiyāñ aisā koī rishta na thā
chāñd sā ma.asūm chehra aa.ina sā rū-ba-rū
ruuh kī sarshāriyāñ thiiñ jism ālūda na thā
dekhte hī dekhte ye rut bhī kyā zardā ga.ī
sabz mausam thā to sahrā meñ bhī sannāTā na thā
jab khulīñ āñkheñ to har pahchān raushan hai 'shamīm'
maiñ ne ye jaanā ki is ko aaj tak jaanā na thā
zaKHm taza tha to gahrai ka andaza na tha
ab guman hota hai us ko chahna achchha na tha
main ki dast-e-haal mein tha haal se bhi be-KHabar
pusht par mazi ki yaaden samne farda na tha
wo meri nas nas mein kaise dard ban kar rah gaya
mere us ke darmiyan aisa koi rishta na tha
chand sa masum chehra aaina sa ru-ba-ru
ruh ki sarshaariyan thin jism aaluda na tha
dekhte hi dekhte ye rut bhi kya zarda gai
sabz mausam tha to sahra mein bhi sannaTa na tha
jab khulin aankhen to har pahchan raushan hai 'shamim'
main ne ye jaana ki is ko aaj tak jaana na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.