zaKHm tere atwar ke aksar ek hi jaise hote hain
zaKHm tere atwar ke aksar ek hi jaise hote hain
Naseem Begum Naseem
MORE BYNaseem Begum Naseem
zaḳhm tire atvār ke aksar ek hī jaise hote haiñ
tiir zabāñ talvār ke nashtar ek hī jaise hote haiñ
chehre badle aadat badlī ruuh ne phūñkī jaan na.ī
varna sab miTTī ke paikar ek hī jaise hote haiñ
kaun paḌā hogā rastoñ par kis ko puujā jā.egā
yuuñ dekho to saare patthar ek hī jaise hote haiñ
nafrat ne hai ḳhuun bichhāyā duniyā kī jin galiyoñ meñ
un saarī galiyoñ ke manzar ek hī jaise hote haiñ
kāñToñ ke hoñ maḳhmal ke yā fōTpāthoñ kī god meñ hoñ
niiñd agar ho saare bistar ek hī jaise hote haiñ
ā.īne jab DhūñD rahe hoñ jhuuT nagar meñ sachchā.ī
saare chehre sab chehroñ par ek hī jaise hote haiñ
daulat ġhurbat shaah gadāgar sab duniyā ke mele haiñ
turbat meñ fuqarā-o-sikandar ek hī jaise hote haiñ
ghar ho yā sahrā kā dāman mujh ko hai sab ek 'nasīm'
vīrāne to andar bāhar ek hī jaise hote haiñ
zaKHm tere atwar ke aksar ek hi jaise hote hain
tir zaban talwar ke nashtar ek hi jaise hote hain
chehre badle aadat badli ruh ne phunki jaan nai
warna sab miTTi ke paikar ek hi jaise hote hain
kaun paDa hoga raston par kis ko puja jaega
yun dekho to sare patthar ek hi jaise hote hain
nafrat ne hai KHun bichhaya duniya ki jin galiyon mein
un sari galiyon ke manzar ek hi jaise hote hain
kanTon ke hon maKHmal ke ya fooTpathon ki god mein hon
nind agar ho sare bistar ek hi jaise hote hain
aaine jab DhunD rahe hon jhuT nagar mein sachchai
sare chehre sab chehron par ek hi jaise hote hain
daulat ghurbat shah gadagar sab duniya ke mele hain
turbat mein fuqara-o-sikandar ek hi jaise hote hain
ghar ho ya sahra ka daman mujh ko hai sab ek 'nasim'
virane to andar bahar ek hi jaise hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.