zaKHm to bahut aae phir bhi hausla rakkha
zaḳhm to bahut aa.e phir bhī hausla rakkhā
umr-bhar mohabbat meñ ham ne dil baḌā rakkhā
jis ne ek lamha bhī tujh se vāsta rakkhā
apne-āp ko ḳhud se umr-bhar judā rakkhā
barg-e-ḳhushk kī sūrat log ho ke āvāra
sochte haiñ sarsar kā naam kyuuñ sabā rakkhā
jab use na aanā thā phir ye kis tavaqqo.a par
ham ne ghar kā darvāza rāt-bhar khulā rakkhā
dil ġham-e-zamāna kī dastaras meñ kyā aatā
pattharoñ kī zad par ḳhud ham ne aa.ina rakkhā
ishq ko salīqe se kuchh hamīñ ne bartā hai
varna qurbatoñ meñ yuuñ kis ne fāsla rakkhā
yaad kar ke ro.egā tū sulūk ġhairoñ kā
tū ne 'ḳhāvar' apnoñ se kuchh jo vāsta rakkhā
zaKHm to bahut aae phir bhi hausla rakkha
umr-bhar mohabbat mein hum ne dil baDa rakkha
jis ne ek lamha bhi tujh se wasta rakkha
apne-ap ko KHud se umr-bhar juda rakkha
barg-e-KHushk ki surat log ho ke aawara
sochte hain sarsar ka nam kyun saba rakkha
jab use na aana tha phir ye kis tawaqqoa par
hum ne ghar ka darwaza raat-bhar khula rakkha
dil gham-e-zamana ki dastaras mein kya aata
pattharon ki zad par KHud hum ne aaina rakkha
ishq ko saliqe se kuchh hamin ne barta hai
warna qurbaton mein yun kis ne fasla rakkha
yaad kar ke roega tu suluk ghairon ka
tu ne 'KHawar' apnon se kuchh jo wasta rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.