zaKHm to sab bharte bharte bhar jaenge
zaḳhm to sab bharte bharte bhar jā.eñge
bas merī āñkheñ banjar kar jā.eñge
laḌkoñ kā pīchhā basta kab chhoḌegā
college chhoḌegā to daftar jā.eñge
rishte nāzuk hote haiñ titlī jaise
kas ke agar pakḌoge to mar jā.eñge
ye duniyā to daftar hai insānoñ kā
lauT ke sab apne apne ghar jā.eñge
tanhā.ī meñ 'kaushal' aise Duube haiñ
mahfil lafz bhī sun leñ to Dar jā.eñge
zaKHm to sab bharte bharte bhar jaenge
bas meri aankhen banjar kar jaenge
laDkon ka pichha basta kab chhoDega
college chhoDega to daftar jaenge
rishte nazuk hote hain titli jaise
kas ke agar pakDoge to mar jaenge
ye duniya to daftar hai insanon ka
lauT ke sab apne apne ghar jaenge
tanhai mein 'kaushal' aise Dube hain
mahfil lafz bhi sun len to Dar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.