zaKHm ulfat ke kisi ko na dikhae maine
zaḳhm ulfat ke kisī ko na dikhā.e maiñ ne
jism ke zāhirī saa.e bhī chhupā.e maiñ ne
maiñ ne be-rabt zamīnoñ meñ bhī ash.ār kahe
aur sahrāoñ meñ gulshan bhī banā.e maiñ ne
vasl kī raat bhī chup-chāp guzārī us ne
us ko ulfat ke bhī ādāb sikhā.e maiñ ne
merī bātoñ se kisī taur vo qaa.il na huā
laakh jiine ke use ḳhvāb dikhā.e maiñ ne
tum se bad-shakl sā ik shaḳhs bhulāyā na gayā
jaan se baḌh ke the jo log bhulā.e maiñ ne
us ne be-laus muravvat meñ gañvāyā mujh ko
kin zamīnoñ pe ye ashjār ugaa.e maiñ ne
zaKHm ulfat ke kisi ko na dikhae main ne
jism ke zahiri sae bhi chhupae main ne
main ne be-rabt zaminon mein bhi ashaar kahe
aur sahraon mein gulshan bhi banae main ne
wasl ki raat bhi chup-chap guzari us ne
us ko ulfat ke bhi aadab sikhae main ne
meri baaton se kisi taur wo qail na hua
lakh jine ke use KHwab dikhae main ne
tum se bad-shakl sa ek shaKHs bhulaya na gaya
jaan se baDh ke the jo log bhulae main ne
us ne be-laus murawwat mein ganwaya mujh ko
kin zaminon pe ye ashjar ugae main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.