zaKHm us soke ki kari hai KHuda KHair kare
zaḳhm us soke kī kaarī hai ḳhudā ḳhair kare
lohū sailāb sā jaarī hai ḳhudā ḳhair kare
sail sahbā kī mire sar se guzar ga.ī ye hanūz
chashm meñ terī ḳhumārī hai ḳhudā ḳhair kare
sair huuñ hasti-e-mauhūm se is tarah ki ab
adam us jī kī piyārī hai ḳhudā ḳhair kare
kis ke jalva kā huuñ zaḳhmī ki lab-e-zaḳhm ke biich
ḳhanda-e-sub.h-e-bahārī hai ḳhudā ḳhair kare
ho gayā huuñ maiñ nit us chashm se bīmār āgāh
daarū is dard kī bhārī hai ḳhudā ḳhair kare
zaKHm us soke ki kari hai KHuda KHair kare
lohu sailab sa jari hai KHuda KHair kare
sail sahba ki mere sar se guzar gai ye hanuz
chashm mein teri KHumari hai KHuda KHair kare
sair hun hasti-e-mauhum se is tarah ki ab
adam us ji ki piyari hai KHuda KHair kare
kis ke jalwa ka hun zaKHmi ki lab-e-zaKHm ke bich
KHanda-e-subh-e-bahaari hai KHuda KHair kare
ho gaya hun main nit us chashm se bimar aagah
daru is dard ki bhaari hai KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.