Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHmi din aur raat rahenge kitne din

Raziq Ansari

zaKHmi din aur raat rahenge kitne din

Raziq Ansari

MORE BYRaziq Ansari

    zaḳhmī din aur raat raheñge kitne din

    dahshat meñ lamhāt raheñge kitne din

    har patjhaḌ ke baad hai mausam phūloñ

    ḳhālī apne haath raheñge kitne din

    kitnī sāñseñ kis ke paas haiñ kyā ma.alūm

    ham tum donoñ saath raheñge kitne din

    paḌhne vaale chehra bhī paḌh lete haiñ

    poshīda hālāt raheñge kitne din

    kitne din tak vo din apne saath rahe

    ye din apne saath raheñge kitne din

    zaKHmi din aur raat rahenge kitne din

    dahshat mein lamhat rahenge kitne din

    har patjhaD ke baad hai mausam phulon ka

    KHali apne hath rahenge kitne din

    kitni sansen kis ke pas hain kya malum

    hum tum donon sath rahenge kitne din

    paDhne wale chehra bhi paDh lete hain

    poshida haalat rahenge kitne din

    kitne din tak wo din apne sath rahe

    ye din apne sath rahenge kitne din

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now