zaKHmi paron mein Dal kar uske nagar ki KHak
zaḳhmī paroñ meñ Daal kar us ke nagar kī ḳhaak
haikal samundaroñ se uThā lī safar kī ḳhaak
ḳhvāboñ ke jism Dher ḳharāboñ meñ ġham ke the
dil ne par is khañDar se uThā lī nazar kī ḳhaak
sar meñ havā bharī thī ḳhalāoñ ke bast kī
qadmoñ meñ aa paḌī hai sitāroñ ke zar kī ḳhaak
kab tak masāfatoñ hī se miTTī ḳharāb ho
is baar rah meñ baiTheñge le kar hazar kī ḳhaak
in bastiyoñ ko qais ke qadmoñ kī lau mile
kūchoñ meñ shab ke yaar jalā aa.e sar kī ḳhaak
zaKHmi paron mein Dal kar us ke nagar ki KHak
haikal samundaron se uTha li safar ki KHak
KHwabon ke jism Dher KHarabon mein gham ke the
dil ne par is khanDar se uTha li nazar ki KHak
sar mein hawa bhari thi KHalaon ke bast ki
qadmon mein aa paDi hai sitaron ke zar ki KHak
kab tak masafaton hi se miTTi KHarab ho
is bar rah mein baiThenge le kar hazar ki KHak
in bastiyon ko qais ke qadmon ki lau mile
kuchon mein shab ke yar jala aae sar ki KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.