zaKHmon ne mujh mein darwaze khole hain
zaḳhmoñ ne mujh meñ darvāze khole haiñ
maiñ ne vaqt se pahle Tāñke khole haiñ
bāhar aane kī bhī sakat nahīñ ham meñ
tū ne kis mausam meñ pinjre khole haiñ
barsoñ se āvāzeñ jamtī jaatī thiiñ
ḳhāmoshī ne kaan ke parde khole haiñ
kaun hamārī pyaas pe Daakā Daal gayā
kis ne mashkīzoñ ke tasme khole haiñ
varna dhuup kā parbat kis se kaTtā thā
us ne chhatrī khol ke raste khole haiñ
ye merā pahlā ramzān thā us ke baġhair
mat pūchho kis muñh se roze khole haiñ
yuuñ to mujh ko kitne ḳhat mausūl hue
ik do aise the jo dil se khole haiñ
mannat mānñe vāloñ ko mālūm nahīñ
kis ne aa kar peḌ se dhāge khole haiñ
dariyā band kiyā hai kuuze meñ 'tahzīb'
ik chābī se saare taale khole haiñ
zaKHmon ne mujh mein darwaze khole hain
main ne waqt se pahle Tanke khole hain
bahar aane ki bhi sakat nahin hum mein
tu ne kis mausam mein pinjre khole hain
barson se aawazen jamti jati thin
KHamoshi ne kan ke parde khole hain
kaun hamari pyas pe Daka Dal gaya
kis ne mashkizon ke tasme khole hain
warna dhup ka parbat kis se kaTta tha
us ne chhatri khol ke raste khole hain
ye mera pahla ramzan tha us ke baghair
mat puchho kis munh se roze khole hain
yun to mujh ko kitne KHat mausul hue
ek do aise the jo dil se khole hain
mannat manne walon ko malum nahin
kis ne aa kar peD se dhage khole hain
dariya band kiya hai kuze mein 'tahzib'
ek chabi se sare tale khole hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.