zaKHmon se kahan lafzon se mari gai hun main
zaḳhmoñ se kahāñ lafzoñ se maarī ga.ī huuñ maiñ
jīvan ke chaak se yuuñ utārī ga.ī huuñ maiñ
mujh ko mire vajūd meñ bas tū hī tū milā
aise tirī mahak se sañvārī ga.ī huuñ maiñ
afsos mujh ko us ne utārā hai gor meñ
jis ke liye falak se utārī ga.ī huuñ maiñ
mujh ko kiyā hai ḳhaak to phir ḳhaak bhī uḌā
ai ishq terī raah meñ vaarī ga.ī huuñ maiñ
lo aa ga.ī huuñ hijr meñ marne ke vāste
itne ḳhulūs se jo pukārī ga.ī huuñ maiñ
merī sadāqatoñ pe tumheñ kyuuñ nahīñ yaqīn
sau baar aag se bhī guzārī ga.ī huuñ maiñ
tum jānte nahīñ ho aziyyat ke kaif ko
hijrat ke karb se to guzārī ga.ī huuñ maiñ
maiñ miT chukī huuñ aur numāyāñ huā hai tū
murshid ḳhumār meñ yuuñ ḳhumārī ga.ī huuñ maiñ
is vajd meñ vajūd kahāñ hai mirā vajūd
jaane kahāñ pe saarī kī saarī ga.ī huuñ maiñ
maqtal meñ jaan denā thī pyāroñ ke vāste
maiñ hī thī un ko jaan se pyārī ga.ī huuñ maiñ
ye qarz-e-ishq maiñ ne chukānā thā is liye
'shāhīn' apnī jaan se vaarī ga.ī huuñ maiñ
zaKHmon se kahan lafzon se mari gai hun main
jiwan ke chaak se yun utari gai hun main
mujh ko mere wajud mein bas tu hi tu mila
aise teri mahak se sanwari gai hun main
afsos mujh ko us ne utara hai gor mein
jis ke liye falak se utari gai hun main
mujh ko kiya hai KHak to phir KHak bhi uDa
ai ishq teri rah mein wari gai hun main
lo aa gai hun hijr mein marne ke waste
itne KHulus se jo pukari gai hun main
meri sadaqaton pe tumhein kyun nahin yaqin
sau bar aag se bhi guzari gai hun main
tum jaante nahin ho aziyyat ke kaif ko
hijrat ke karb se to guzari gai hun main
main miT chuki hun aur numayan hua hai tu
murshid KHumar mein yun KHumari gai hun main
is wajd mein wajud kahan hai mera wajud
jaane kahan pe sari ki sari gai hun main
maqtal mein jaan dena thi pyaron ke waste
main hi thi un ko jaan se pyari gai hun main
ye qarz-e-ishq main ne chukana tha is liye
'shahin' apni jaan se wari gai hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.