zalzala aaya wo dil mein waqt ki raftar se
zalzala aayā vo dil meñ vaqt kī raftār se
ḳhud-baḳhud tasvīr terī gir paḌī dīvār se
chupke chupke khīñchtā jaatā huuñ kāñToñ kā hisār
maiñ ki ab Darne lagā huuñ phuul kī mahkār se
ham balā-noshoñ ne zahr-e-āgahī bhī pī liyā
chalte chalte ham bhī Thokar khā ga.e kohsār se
jin ko āñkhoñ se lagāyā jin ko ro ro kar paḌhā
haa.e vo ḳhat bhī nazar aane lage bekār se
dīda-e-yāqūb har chehre meñ hai girya-kunāñ
ham bahut uktā ga.e haiñ misr ke bāzār se
ham se shikva kar rahā thā aaj dāmān-e-tahī
toḌ laa.e māh-o-anjum fikr ke gulzār se
'nūr' sāhab khul na jaa.e tark-e-ulfat kā bharam
aap kī ḳhāmoshiyoñ se aap ke ash.ār se
zalzala aaya wo dil mein waqt ki raftar se
KHud-baKHud taswir teri gir paDi diwar se
chupke chupke khinchta jata hun kanTon ka hisar
main ki ab Darne laga hun phul ki mahkar se
hum bala-noshon ne zahr-e-agahi bhi pi liya
chalte chalte hum bhi Thokar kha gae kohsar se
jin ko aankhon se lagaya jin ko ro ro kar paDha
hae wo KHat bhi nazar aane lage bekar se
dida-e-yaqub har chehre mein hai girya-kunan
hum bahut ukta gae hain misr ke bazar se
hum se shikwa kar raha tha aaj daman-e-tahi
toD lae mah-o-anjum fikr ke gulzar se
'nur' sahab khul na jae tark-e-ulfat ka bharam
aap ki KHamoshiyon se aap ke ashaar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.