zalzale jab ana ke ghazab Dha gae
zalzale jab anā ke ġhazab Dhā ga.e
sang-reze pahāḌoñ se Takrā ga.e
ham haiñ parvarda-e-hādsāt-e-jahāñ
aap to ek sadme se ghabrā ga.e
phuul hī phuul the ḳhushbuoñ ke chaman
husn-e-kirdār ko mere mahkā ga.e
jis kī qismat meñ thiiñ tang-dāmāniyāñ
pair chādar se aage vo phailā ga.e
buuñd paanī na sūkhī zamīñ ko milā
dekhne meñ ka.ī abr mañDlā ga.e
uḌtī uḌtī chalī aa.ī yād-e-vatan
ajnabī shahr meñ ham jo tanhā ga.e
ujlā ujlā sahī dāman-e-ahd-e-nau
saare naqsh-e-kuhan ham ko yaad aa ga.e
zalzale jab ana ke ghazab Dha gae
sang-reze pahaDon se Takra gae
hum hain parwarda-e-hadsat-e-jahan
aap to ek sadme se ghabra gae
phul hi phul the KHushbuon ke chaman
husn-e-kirdar ko mere mahka gae
jis ki qismat mein thin tang-damaniyan
pair chadar se aage wo phaila gae
bund pani na sukhi zamin ko mila
dekhne mein kai abr manDla gae
uDti uDti chali aai yaad-e-watan
ajnabi shahr mein hum jo tanha gae
ujla ujla sahi daman-e-ahd-e-nau
sare naqsh-e-kuhan hum ko yaad aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.