zalzale sab dil ke andar ho gae
zalzale sab dil ke andar ho ga.e
hādse rūmān-parvar ho ga.e
kashtiyoñ kī qīmateñ baḌhne lagīñ
jitne sahrā the samundar ho ga.e
dhuup meñ pahle pighal jaate the log
ab ke kyā guzrī ki patthar ho ga.e
vo nigāheñ kyā phirīñ ham se ki ham
apnī hī āñkhoñ meñ kam-tar ho ga.e
tum ki har dil meñ tumhārā ghar huā
ham ki apne ghar meñ be-ghar ho ga.e
zalzale sab dil ke andar ho gae
hadse ruman-parwar ho gae
kashtiyon ki qimaten baDhne lagin
jitne sahra the samundar ho gae
dhup mein pahle pighal jate the log
ab ke kya guzri ki patthar ho gae
wo nigahen kya phirin hum se ki hum
apni hi aankhon mein kam-tar ho gae
tum ki har dil mein tumhaara ghar hua
hum ki apne ghar mein be-ghar ho gae
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 102)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.