zalzalon ka asar nahin hota
zalzaloñ kā asar nahīñ hotā
ghar idhar se udhar nahīñ hotā
sirf sho'loñ kī daad miltī hai
kyā sulagnā hunar nahīñ hotā
rail gaaḌī se kuud jā.ūñ kyā
ab akele safar nahīñ hotā
'ishq us faisle ko kahte haiñ
jo kabhī soch kar nahīñ hotā
qabr meñ roz-e-hashr se pahle
zinda hone kā Dar nahīñ hotā
sab karishma hai she'r hone kā
she'r kahnā hunar nahīñ hotā
maiñ hī zaḳhmoñ ko chheḌ detā huuñ
jab koī chārāgar nahīñ hotā
jis ke qabze meñ duniyā hotī hai
us kā duniyā meñ ghar nahīñ hotā
zalzalon ka asar nahin hota
ghar idhar se udhar nahin hota
sirf sho'lon ki dad milti hai
kya sulagna hunar nahin hota
rail gaDi se kud jaun kya
ab akele safar nahin hota
'ishq us faisle ko kahte hain
jo kabhi soch kar nahin hota
qabr mein roz-e-hashr se pahle
zinda hone ka Dar nahin hota
sab karishma hai she'r hone ka
she'r kahna hunar nahin hota
main hi zaKHmon ko chheD deta hun
jab koi chaaragar nahin hota
jis ke qabze mein duniya hoti hai
us ka duniya mein ghar nahin hota
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 73)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.