zamana apni hi surat pe marne lag jae
zamāna apnī hī sūrat pe marne lag jaa.e
to kyā ab ā.īna ḳhud se mukarne lag jaa.e
kisī sadā meñ vo āhañg-e-inqalāb to ho
ki ḳhār-zāroñ kī duniyā sañvarne lag jaa.e
hameñ ye dhyān to rakhnā thā bād-o-bārāñ se qabl
ki sail-e-āb na sar se guzarne lag jaa.e
sitāra ab koī dīvār-e-shab meñ dar to kare
ujālā dasht-e-siyah meñ utarne lag jaa.e
karoge kyā jo na kashtī-e-jāñ Duboī ga.ī
tum ehtimām karo ye ubharne lag jaa.e
chalo na ham koī sūrat mufīd sī socheñ
fizā.ī baaġh zarā aur nikharne lag jaa.e
zamana apni hi surat pe marne lag jae
to kya ab aaina KHud se mukarne lag jae
kisi sada mein wo aahang-e-inqalab to ho
ki KHar-zaron ki duniya sanwarne lag jae
hamein ye dhyan to rakhna tha baad-o-baran se qabl
ki sail-e-ab na sar se guzarne lag jae
sitara ab koi diwar-e-shab mein dar to kare
ujala dasht-e-siyah mein utarne lag jae
karoge kya jo na kashti-e-jaan Duboi gai
tum ehtimam karo ye ubharne lag jae
chalo na hum koi surat mufid si sochen
fizai bagh zara aur nikharne lag jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.