zamana be-karan tha be-karan humne nahin rakkha
zamana be-karan tha be-karan humne nahin rakkha
Mashkoor Husain Yaad
MORE BYMashkoor Husain Yaad
zamāna be-karāñ thā be-karāñ ham ne nahīñ rakkhā
tire ġham se varā koī jahāñ ham ne nahīñ rakkhā
hamesha sāmne aa.e misāl-e-sub.h-e-raḳhshanda
kabhī maddham ujāloñ kā samāñ ham ne nahīñ rakkhā
atā kī is zau se bazm-e-har-imkāñ ko tābānī
kabhī dil ko charāġh-e-nīm-jāñ ham ne nahīñ rakkhā
rahe nashshe meñ lekin intihā-e-ḳhāksārī se
ki sar par be-ḳhudī kā āsmāñ ham ne nahīñ rakkhā
hamāre āsmāñ kā har sitāra sab pe raushan hai
kisī zaḳhm-e-mohabbat ko nihāñ ham ne nahīñ rakkhā
kiyā hai zabt bhī to dard ke tūfāñ uThā.e haiñ
ḳhamoshī ko sukūt-e-ḳhūñ-chakāñ ham ne nahīñ rakkhā
hamārā har suḳhan sīdhā utartā hai dil-o-jāñ meñ
koī bhī ḳhanjar-e-ġham nā-tavāñ ham ne nahīñ rakkhā
zamana be-karan tha be-karan hum ne nahin rakkha
tere gham se wara koi jahan hum ne nahin rakkha
hamesha samne aae misal-e-subh-e-raKHshanda
kabhi maddham ujalon ka saman hum ne nahin rakkha
ata ki is zau se bazm-e-har-imkan ko tabani
kabhi dil ko charagh-e-nim-jaan hum ne nahin rakkha
rahe nashshe mein lekin intiha-e-KHaksari se
ki sar par be-KHudi ka aasman hum ne nahin rakkha
hamare aasman ka har sitara sab pe raushan hai
kisi zaKHm-e-mohabbat ko nihan hum ne nahin rakkha
kiya hai zabt bhi to dard ke tufan uThae hain
KHamoshi ko sukut-e-KHun-chakan hum ne nahin rakkha
hamara har suKHan sidha utarta hai dil-o-jaan mein
koi bhi KHanjar-e-gham na-tawan hum ne nahin rakkha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 533)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.