zamana ek wo bhi tha sahaare the tumhaare hum
zamāna ek vo bhī thā sahāre the tumhāre ham
khaḌe haiñ ab zarā dekho divāroñ ke sahāre ham
batā kar ek misre meñ nadī sā husn vo terā
mile phir dūsre misre usī dariyā kināre ham
kisī se jo nahīñ haarā vo apnoñ se to haarā hai
tumhāre sāmne jaise mohabbat phir se haare ham
tumhī har roz mujh ko ḳhud se thoḌā duur karte the
falak tak duur jab pahuñche hue haiñ phir sitāre ham
zamana ek wo bhi tha sahaare the tumhaare hum
khaDe hain ab zara dekho diwaron ke sahaare hum
bata kar ek misre mein nadi sa husn wo tera
mile phir dusre misre usi dariya kinare hum
kisi se jo nahin haara wo apnon se to haara hai
tumhaare samne jaise mohabbat phir se haare hum
tumhi har roz mujh ko KHud se thoDa dur karte the
falak tak dur jab pahunche hue hain phir sitare hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.