zamana guzra hai lahron se jang karte hue
zamāna guzrā hai lahroñ se jañg karte hue
kabhī to paar lagūñ Dūbte ubharte hue
baḌe hī shauq se ik āshiyāñ banāyā thā
maiñ kaise dekhūñ use TūTte bikharte hue
kabhī to zehn ke parde pe naqsh ubhregā
ye sochtā huuñ tasavvur meñ rañg bharte hue
har ik maqām pe tūfān ne daboch liyā
jahāñ jahāñ bhī chhupā āñdhiyoñ se Darte hue
vo buuñd buuñd qayāmat vo nuur nuur badan
kisī ne dekhā hī kab hai use sañvarte hue
vo merī zaat se ab bad-gumāñ nahīñ shāyad
tabhī to dekh nahīñ saktā mujh ko marte hue
zamana guzra hai lahron se jang karte hue
kabhi to par lagun Dubte ubharte hue
baDe hi shauq se ek aashiyan banaya tha
main kaise dekhun use TuTte bikharte hue
kabhi to zehn ke parde pe naqsh ubhrega
ye sochta hun tasawwur mein rang bharte hue
har ek maqam pe tufan ne daboch liya
jahan jahan bhi chhupa aandhiyon se Darte hue
wo bund bund qayamat wo nur nur badan
kisi ne dekha hi kab hai use sanwarte hue
wo meri zat se ab bad-guman nahin shayad
tabhi to dekh nahin sakta mujh ko marte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.