zamana kahan se kahan aa gaya hai
zamāna kahāñ se kahāñ aa gayā hai
mire dost ne mujh ko dushman kahā hai
parāyā yahāñ kaun hai kaun apnā
mujhe kuchh samajh meñ nahīñ aa rahā hai
faqat ek tinkā hai merī nazar meñ
nazar meñ tirī āshiyāñ jo banā hai
kareñ vo bharosa to kaise kisī par
jinheñ har qadam pe hī dhokā milā hai
bhalā kyoñ na ro.eñgī āñkheñ hamārī
badan ik farishte kā kuchlā gayā hai
fidā yuuñ hī tum pe nahīñ hai ye duniyā
baḌī qātilāna tumhārī adā hai
tahat meñ paḌheñge ġhazal aaj 'mohak'
galā un kā thoḌā sā baiThā huā hai
zamana kahan se kahan aa gaya hai
mere dost ne mujh ko dushman kaha hai
paraya yahan kaun hai kaun apna
mujhe kuchh samajh mein nahin aa raha hai
faqat ek tinka hai meri nazar mein
nazar mein teri aashiyan jo bana hai
karen wo bharosa to kaise kisi par
jinhen har qadam pe hi dhoka mila hai
bhala kyon na roengi aankhen hamari
badan ek farishte ka kuchla gaya hai
fida yun hi tum pe nahin hai ye duniya
baDi qatilana tumhaari ada hai
tahat mein paDhenge ghazal aaj 'mohak'
gala un ka thoDa sa baiTha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.