zamana main banun tera zamana tu bane mera
zamāna maiñ banūñ terā zamāna tū bane merā
guzārā maiñ banūñ terā guzārā tū bane merā
akelā hī safar meñ kab chalā hai duur tak koī
sahārā maiñ banūñ terā sahārā tū bane merā
nahīñ āsāñ binā patvār kashtī paar lag jaa.e
kinārā maiñ banūñ terā kinārā tū bane merā
chhiḌī hai jang zulmat se hameñ hai jītnā mil kar
ujālā maiñ banūñ terā ujālā tū bane merā
diloñ meñ jab udāsī ho basī ho raat āñkhoñ meñ
saverā maiñ banūñ terā saverā tū bane merā
zamana main banun tera zamana tu bane mera
guzara main banun tera guzara tu bane mera
akela hi safar mein kab chala hai dur tak koi
sahaara main banun tera sahaara tu bane mera
nahin aasan bina patwar kashti par lag jae
kinara main banun tera kinara tu bane mera
chhiDi hai jang zulmat se hamein hai jitna mil kar
ujala main banun tera ujala tu bane mera
dilon mein jab udasi ho basi ho raat aankhon mein
sawera main banun tera sawera tu bane mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.