zamana roz jise yunhi sangsar kare
zamāna roz jise yūñhī sangsār kare
vo apne zaḳhm kahāñ tak bhalā shumār kare
koī batā.e kahāñ tak koī chaman-zāda
chaman ko apnā lahū de ke lāla-zār kare
vo jis ne sadiyoñ bahāroñ ke rang dekhe hoñ
ḳhizāñ se apne ko vo kaise ham-kanār kare
jo ghar se niklā ho sach bolne kī niyyat se
qadam qadam pe vo ab intizār-e-dār kare
amīr-e-shahr ke hāthoñ meñ qismatoñ ke charāġh
ġharīb apnā koī kaise kārobār kare
ho zaḳhm zaḳhm agar jis kā lamha-e-imroz
vo kaise marham-e-fardā kā intizār kare
jo luT gayā hai fasādoñ meñ ab usī ke liye
ye hukm hai ki vo hālāt sāzgār kare
usī ko amn kā e.azāz bhī mayassar hai
ki shahr shahr meñ paidā jo intishār kare
shu.ūr baḳhsh do aisā chaman kī kaliyoñ ko
jo phuul phuul ko shā.ista-e-bahār kare
ġham-e-hayāt kā manzil-shanās kyā hogā
vo aadmī jo rah-e-zīst se farār kare
ḳhudī vo daulat-e-bedār hai jo duniyā meñ
gadā-garī meñ bhī insāñ ko shahryār kare
vahī hai nūr-e-basīrat kā aa.ina 'fāḳhir'
jo aañkh āḳhir-e-shab tujh ko ashk-bār kare
zamana roz jise yunhi sangsar kare
wo apne zaKHm kahan tak bhala shumar kare
koi batae kahan tak koi chaman-zada
chaman ko apna lahu de ke lala-zar kare
wo jis ne sadiyon bahaaron ke rang dekhe hon
KHizan se apne ko wo kaise ham-kanar kare
jo ghar se nikla ho sach bolne ki niyyat se
qadam qadam pe wo ab intizar-e-dar kare
amir-e-shahr ke hathon mein qismaton ke charagh
gharib apna koi kaise karobar kare
ho zaKHm zaKHm agar jis ka lamha-e-imroz
wo kaise marham-e-farda ka intizar kare
jo luT gaya hai fasadon mein ab usi ke liye
ye hukm hai ki wo haalat sazgar kare
usi ko amn ka eazaz bhi mayassar hai
ki shahr shahr mein paida jo intishaar kare
shuur baKHsh do aisa chaman ki kaliyon ko
jo phul phul ko shaista-e-bahaar kare
gham-e-hayat ka manzil-shanas kya hoga
wo aadmi jo rah-e-zist se farar kare
KHudi wo daulat-e-bedar hai jo duniya mein
gada-gari mein bhi insan ko shahryar kare
wahi hai nur-e-basirat ka aaina 'faKHir'
jo aankh aaKHir-e-shab tujh ko ashk-bar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.