zamana-saz nikle faKHr-e-rudad-e-jahan nikle
zamāna-sāz nikle faḳhr-e-rūdād-e-jahāñ nikle
nazar jis varq par Daalo hamārī dāstāñ nikle
hamesha sar-ba-kaf sīna-sipar himmat-shikan ban kar
ajal ke saa.e meñ bhī kāmyāb-e-imtihāñ nikle
vatan kī ḳhaak ko bhī mansab-e-'ain-ul-yaqīñ baḳhshā
zamīñ kī pastiyoñ meñ bhī farāz-e-āsmāñ nikle
hamārī ḳhush-nasībī hai ki manzil-āshnā haiñ ham
talāsh-e-manzil-e-haq meñ hazāroñ kārvāñ nikle
hameñ dhokā diyā hai 'naġhmī' dil kī sāda-lauhī ne
jinheñ samjhe the ham apnā vo un ke rāz-dāñ nikle
zamana-saz nikle faKHr-e-rudad-e-jahan nikle
nazar jis warq par Dalo hamari dastan nikle
hamesha sar-ba-kaf sina-sipar himmat-shikan ban kar
ajal ke sae mein bhi kaamyab-e-imtihan nikle
watan ki KHak ko bhi mansab-e-'ain-ul-yaqin baKHsha
zamin ki pastiyon mein bhi faraaz-e-asman nikle
hamari KHush-nasibi hai ki manzil-ashna hain hum
talash-e-manzil-e-haq mein hazaron karwan nikle
hamein dhoka diya hai 'naghmi' dil ki sada-lauhi ne
jinhen samjhe the hum apna wo un ke raaz-dan nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.