zamana sang hai fariyaad aaina meri
zamāna sañg hai fariyād ā.īna merī
ġhalat kahūñ to zabāñ chhīn le ḳhudā merī
tirā qusūr hai is meñ na hai ḳhatā merī
tirī zamīñ pe jo barsī nahīñ ghaTā merī
jahāñ se tark-e-ta.alluq kiyā thā tū ne kabhī
khaḌī huī hai usī moḌ par vafā merī
tum is libās-e-darīda pe tanz karte ho
isī libās meñ mahfūz hai hayā merī
is ik ḳhayāl se dil baiTh baiTh jaatā hai
Dubo na de kahīñ kashtī ko nāḳhudā merī
'anītā' us ko na aanā thā vo nahīñ aayā
bulā bulā ke use thak ga.ī sadā merī
zamana sang hai fariyaad aaina meri
ghalat kahun to zaban chhin le KHuda meri
tera qusur hai is mein na hai KHata meri
teri zamin pe jo barsi nahin ghaTa meri
jahan se tark-e-talluq kiya tha tu ne kabhi
khaDi hui hai usi moD par wafa meri
tum is libas-e-darida pe tanz karte ho
isi libas mein mahfuz hai haya meri
is ek KHayal se dil baiTh baiTh jata hai
Dubo na de kahin kashti ko naKHuda meri
'anita' us ko na aana tha wo nahin aaya
bula bula ke use thak gai sada meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.