zamana uf ye kaisa ho raha hai
zamāna uf ye kaisā ho rahā hai
jo sīdhā thā vo ulTā ho rahā hai
ab ahl-e-ilm meñ tārīkiyāñ haiñ
jahālat meñ saverā ho rahā hai
vahāñ par zindagī kaise bachegī
jahāñ qātil masīhā ho rahā hai
bashar kā maqsad-e-taḳhlīq dekho
use honā thā kyā kyā ho rahā hai
ye hai taqlīd-e-maġhrib kā natīja
judā muslim se parda ho rahā hai
hamārī rāst-goī kaam aa.ī
vafā honā thā va.ada ho rahā hai
jamāl-e-fikr-o-fan kā tere 'anvar'
suḳhan-dānoñ meñ charchā ho rahā hai
zamana uf ye kaisa ho raha hai
jo sidha tha wo ulTa ho raha hai
ab ahl-e-ilm mein tarikiyan hain
jahaalat mein sawera ho raha hai
wahan par zindagi kaise bachegi
jahan qatil masiha ho raha hai
bashar ka maqsad-e-taKHliq dekho
use hona tha kya kya ho raha hai
ye hai taqlid-e-maghrib ka natija
juda muslim se parda ho raha hai
hamari rast-goi kaam aai
wafa hona tha wada ho raha hai
jamal-e-fikr-o-fan ka tere 'anwar'
suKHan-danon mein charcha ho raha hai
- Book : Inbisat-e-hayat (Pg. 55)
- Author : Anwar Jamal Anwar
- Publication : Anwar Jamal Anwar (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.