zamane bhar ki kitabon mein qaid rahta hun
zamāne bhar kī kitāboñ meñ qaid rahtā huuñ
ḳhirad ke kohna nisāboñ meñ qaid rahtā huuñ
tire jamāl ke sab bhed jaan kar bhī maiñ
na jaane kyuuñ tire ḳhvāboñ meñ qaid rahtā huuñ
tire badan meñ haiñ kitnī qayāmateñ pinhāñ
baḌe shadīd azāboñ meñ qaid rahtā huuñ
karūñ bhī kaise bhalā dasht-e-āgahī kā safar
ki maiñ yaqīñ ke sarāboñ meñ qaid rahtā huuñ
vo tū ki pairahan-e-kā.enāt chaak kare
vo maiñ ki itne hijāboñ meñ qaid rahtā huuñ
hai mauj-e-vaqt qafas aur zindagī sayyād
maiñ lamha lamha habāboñ meñ qaid rahtā huuñ
vo zindagī ho ki aqlīm-e-zāt ho 'shāriq'
na jaane kaise ḳharāboñ meñ qaid rahtā huuñ
zamane bhar ki kitabon mein qaid rahta hun
KHirad ke kohna nisabon mein qaid rahta hun
tere jamal ke sab bhed jaan kar bhi main
na jaane kyun tere KHwabon mein qaid rahta hun
tere badan mein hain kitni qayamaten pinhan
baDe shadid azabon mein qaid rahta hun
karun bhi kaise bhala dasht-e-agahi ka safar
ki main yaqin ke sarabon mein qaid rahta hun
wo tu ki pairahan-e-kaenat chaak kare
wo main ki itne hijabon mein qaid rahta hun
hai mauj-e-waqt qafas aur zindagi sayyaad
main lamha lamha hababon mein qaid rahta hun
wo zindagi ho ki aqlim-e-zat ho 'shaariq'
na jaane kaise KHarabon mein qaid rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.