zamane bhar se kya apne se begana banati hai
zamāne bhar se kyā apne se begāna banātī hai
mohabbat vo burī shai hai ki dīvāna banātī hai
haqīqat thī patange kī magar ik be-haqīqat thī
yahī lau hai jo parvāne ko parvāna banātī hai
ināyat ho jo saaqī kī to dil kuuza nahīñ rahtā
samā jaatā hai ḳhum jis meñ vo paimāna banātī hai
vo chhup ke rah nahīñ sakte kisī goshe meñ bhī dil ke
farāvānī-e-jalva ā.ina-ḳhāna banātī hai
maiñ ḳhum ke ḳhum bhī pī jā.ūñ to laġhzish ho nahīñ saktī
magar mastī tirī āñkhoñ kī mastāna banātī hai
nigāh-e-fitna-sāmāñ bhī nigāh-e-multafit niklī
basā kar dil kī bastī ḳhud hī vīrāna banātī hai
do harf-e-ġham ke qisse ko ik āh-e-nā-tavāñ khiñch kar
na puurā hashr tak ho aisā afsāna banātī hai
nikalnā paañv kā chādar se hai sāmān-e-rusvā.ī
havas baḌh jaatī hai had se to dīvāna banātī hai
asās-e-zindagī 'navvāb' hai ummīd fardā kī
yahī dil ke ḳharābe ko parī-ḳhāna banātī hai
zamane bhar se kya apne se begana banati hai
mohabbat wo buri shai hai ki diwana banati hai
haqiqat thi patange ki magar ek be-haqiqat thi
yahi lau hai jo parwane ko parwana banati hai
inayat ho jo saqi ki to dil kuza nahin rahta
sama jata hai KHum jis mein wo paimana banati hai
wo chhup ke rah nahin sakte kisi goshe mein bhi dil ke
farawani-e-jalwa aaina-KHana banati hai
main KHum ke KHum bhi pi jaun to laghzish ho nahin sakti
magar masti teri aankhon ki mastana banati hai
nigah-e-fitna-saman bhi nigah-e-multafit nikli
basa kar dil ki basti KHud hi virana banati hai
do harf-e-gham ke qisse ko ek aah-e-na-tawan khinch kar
na pura hashr tak ho aisa afsana banati hai
nikalna panw ka chadar se hai saman-e-ruswai
hawas baDh jati hai had se to diwana banati hai
asas-e-zindagi 'nawwab' hai ummid farda ki
yahi dil ke KHarabe ko pari-KHana banati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.