zamane bhar se us ka rabta hai
zamāne bhar se us kā rābta hai
jo apne aap ko pahchāntā hai
kisī ko kyā ḳhabar maiñ jāntā huuñ
tire ḳhvāboñ ne mujh ko kyā diyā hai
ḳhirad bhī chaak kartī hai garebāñ
magar dīvāngī apnī jagah hai
use zaḳhm-e-shanāsā.ī mileñge
jo apne aap se nā-āshnā hai
sadāqat kā alam-bardār hogā
vo jis kī dastaras meñ aa.ina hai
zamāna hai ravāñ pastī kī jānib
magar raushan charāġh-e-irtiqā hai
zamāna-sāz hote jā rahe ho
miyāñ 'aḳhtar' tumheñ kyā ho gayā hai
zamane bhar se us ka rabta hai
jo apne aap ko pahchanta hai
kisi ko kya KHabar main jaanta hun
tere KHwabon ne mujh ko kya diya hai
KHirad bhi chaak karti hai gareban
magar diwangi apni jagah hai
use zaKHm-e-shanasai milenge
jo apne aap se na-ashna hai
sadaqat ka alam-bardar hoga
wo jis ki dastaras mein aaina hai
zamana hai rawan pasti ki jaanib
magar raushan charagh-e-irtiqa hai
zamana-saz hote ja rahe ho
miyan 'aKHtar' tumhein kya ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.