zamane ke liye bahre hue the hum donon
zamāne ke liye bahre hue the ham donoñ
to der tak kahīñ Thahre hue the ham donoñ
ham ek dūsre ke dil pe chaḌh ga.e to dikhā
ka.ī nigāhoñ se utre hue the ham donoñ
koī hamārī tahoñ tak pahuñch sakā hī nahīñ
samundaroñ se bhī gahre hue the ham donoñ
phir ek dūsre ko golī maar dī ham ne
har ek samt se ghere hue the ham donoñ
zamane ke liye bahre hue the hum donon
to der tak kahin Thahre hue the hum donon
hum ek dusre ke dil pe chaDh gae to dikha
kai nigahon se utre hue the hum donon
koi hamari tahon tak pahunch saka hi nahin
samundaron se bhi gahre hue the hum donon
phir ek dusre ko goli mar di hum ne
har ek samt se ghere hue the hum donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.