zamane ki tarah hamdam na hona
zamāne kī tarah hamdam na honā
ḳhatāoñ par merī barham na honā
masā.il dūriyāñ hargiz nahīñ thiiñ
masā.il dūriyoñ kā come na honā
yahī to raat hone kā sabab hai
zamīñ kā shams kā bāham na honā
chale aao mohabbat kā hai mausam
dobāra ye hasīñ mausam na honā
'ajab bastī tumhāre dil kī bastī
kisī ġham kā jahāñ mātam na honā
mire dil kī yahī taklīf Thahrī
bichhaḌte vaqt āñkheñ nam na honā
ishāra hai ye shām-e-zindagī kā
mire dil meñ tumhārā ġham na honā
zamane ki tarah hamdam na hona
KHataon par meri barham na hona
masail duriyan hargiz nahin thin
masail duriyon ka come na hona
yahi to raat hone ka sabab hai
zamin ka shams ka baham na hona
chale aao mohabbat ka hai mausam
dobara ye hasin mausam na hona
'ajab basti tumhaare dil ki basti
kisi gham ka jahan matam na hona
mere dil ki yahi taklif Thahri
bichhaDte waqt aankhen nam na hona
ishaara hai ye sham-e-zindagi ka
mere dil mein tumhaara gham na hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.