zamane ki badli nazar dekhte hain
zamāne kī badlī nazar dekhte haiñ
to ham ḳhud ko sīna-sipar dekhte haiñ
nigāhoñ meñ vo jalva-gar ho ga.e haiñ
unheñ dekhte haiñ jidhar dekhte haiñ
jab aate haiñ ḳhud-āgahī par to phir ham
na dar dekhte haiñ na sar dekhte haiñ
chale aao jalva-ba-jalva ki ham bhī
kahāñ tak hai tāb-e-nazar dekhte haiñ
jo apnī haqīqat ko pahchānte haiñ
vo 'farmān' kī rahguzar dekhte haiñ
zamane ki badli nazar dekhte hain
to hum KHud ko sina-sipar dekhte hain
nigahon mein wo jalwa-gar ho gae hain
unhen dekhte hain jidhar dekhte hain
jab aate hain KHud-agahi par to phir hum
na dar dekhte hain na sar dekhte hain
chale aao jalwa-ba-jalwa ki hum bhi
kahan tak hai tab-e-nazar dekhte hain
jo apni haqiqat ko pahchante hain
wo 'farman' ki rahguzar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.