zamane ki inayat hai tera inam hai saqi
zamane ki inayat hai tera inam hai saqi
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
zamāne kī ināyat hai tirā in.aam hai saaqī
hamāre dil meñ ab bhī hasrat-e-nākām hai saaqī
kisī kī ik nazar se jo kabhī siine pe taḌpā thā
vahī dil ab harīf-e-gardish-e-ayyām hai saaqī
zamāna aaj jiite jiite ḳhud hī tang aaya hai
batāo kuchh ilāj-e-shorish-e-ālām hai saaqī
mohabbat hāsil-e-insāniyat hai bazm-e-hastī meñ
yahī insān kī ḳhātir mirā paiġhām hai saaqī
zamane ki inayat hai tera inam hai saqi
hamare dil mein ab bhi hasrat-e-nakaam hai saqi
kisi ki ek nazar se jo kabhi sine pe taDpa tha
wahi dil ab harif-e-gardish-e-ayyam hai saqi
zamana aaj jite jite KHud hi tang aaya hai
batao kuchh ilaj-e-shorish-e-alam hai saqi
mohabbat hasil-e-insaniyat hai bazm-e-hasti mein
yahi insan ki KHatir mera paigham hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.