zamane ki nazar se dekhta hun main kahan hun
zamāne kī nazar se dekhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
ye tanhā.ī meñ aksar sochtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
kahā us ne mujhe us ko mohabbat hai kisī se
maiñ apne aap se ye pūchhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
vo mujh se ruuTh kar phir ho gayā nazroñ se ojhal
maiñ us lamhe se ab tak DhūñDhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
ye vo gaañv hai yā phir shahr dar aayā hai is meñ
maiñ har ik shaḳhs se ye pūchhtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
musāfir hai yahāñ saare ye duniyā ik safar hai
yahāñ ruknā hai kitnā jāntā huuñ maiñ kahāñ huuñ
zamane ki nazar se dekhta hun main kahan hun
ye tanhai mein aksar sochta hun main kahan hun
kaha us ne mujhe us ko mohabbat hai kisi se
main apne aap se ye puchhta hun main kahan hun
wo mujh se ruTh kar phir ho gaya nazron se ojhal
main us lamhe se ab tak DhunDhta hun main kahan hun
ye wo ganw hai ya phir shahr dar aaya hai is mein
main har ek shaKHs se ye puchhta hun main kahan hun
musafir hai yahan sare ye duniya ek safar hai
yahan rukna hai kitna jaanta hun main kahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.