zamane ki tijori se nikal kar
zamāne kī tijorī se nikal kar
sunahrī ho gayā lamhoñ meñ Dhal kar
mukammal zā.iqa us zahr meñ thā
zabāñ bhī ḳhush huī thī dukh nigal kar
hai do ruuyā ta.alluq kī kahānī
bichhaḌte haiñ saḌak kā ruḳh badal kar
mohabbat chāñd kī sargoshiyāñ haiñ
yahī sargoshiyāñ ab to ġhazal kar
zamāna taak meñ rakkhe hue hai
hameñ chalnā paḌegā ab sañbhal kar
zamane ki tijori se nikal kar
sunahri ho gaya lamhon mein Dhal kar
mukammal zaiqa us zahr mein tha
zaban bhi KHush hui thi dukh nigal kar
hai do ruya talluq ki kahani
bichhaDte hain saDak ka ruKH badal kar
mohabbat chand ki sargoshiyan hain
yahi sargoshiyan ab to ghazal kar
zamana tak mein rakkhe hue hai
hamein chalna paDega ab sanbhal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.