zamane ki ye haalat inqilabi humne dekhi hai
zamāne kī ye hālat inqilābī ham ne dekhī hai
ġharībī ham ne dekhī hai navābī ham ne dekhī hai
uḌāte phir rahe haiñ ḳhaak vīrāñ regzāroñ kī
mah-o-anjum kī sadiyoñ ham rikāgī ham ne dekhī hai
chhalakte jaam jin hāthoñ meñ har dam raqs karte the
unhīñ hāthoñ meñ ab ḳhālī gulābī ham ne dekhī hai
ham apne gaañv meñ jis ka tasavvur kar nahīñ sakte
baḌe shahroñ meñ itnī be-hijābī ham ne dekhī hai
javāñ apne muqaddar par bharosa karke baiThe haiñ
mashaqqat meñ hamesha kāmyābī ham ne dekhī hai
baserā hai hamārā in dinoñ fōtpath par hai sach
ye kal kī baat hai izzat-ma.ābī ham ne dekhī hai
zamane ki ye haalat inqilabi hum ne dekhi hai
gharibi hum ne dekhi hai nawabi hum ne dekhi hai
uDate phir rahe hain KHak viran regzaron ki
mah-o-anjum ki sadiyon hum rikagi hum ne dekhi hai
chhalakte jam jin hathon mein har dam raqs karte the
unhin hathon mein ab KHali gulabi hum ne dekhi hai
hum apne ganw mein jis ka tasawwur kar nahin sakte
baDe shahron mein itni be-hijabi hum ne dekhi hai
jawan apne muqaddar par bharosa karke baiThe hain
mashaqqat mein hamesha kaamyabi hum ne dekhi hai
basera hai hamara in dinon footpath par hai sach
ye kal ki baat hai izzat-maabi hum ne dekhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.