Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamane ko ulfat ka dastur kar dun

Dilshad Naseem

zamane ko ulfat ka dastur kar dun

Dilshad Naseem

MORE BYDilshad Naseem

    zamāne ko ulfat dastūr kar duuñ

    maiñ terī kahānī ko mash.hūr kar duuñ

    tire sāmne ro luuñ chāhtā hai

    tire dil ko bhī ġham se maiñ chuur kar duuñ

    masīhā ehsāñ nahīñ chāhtī huuñ

    maiñ zaḳhmoñ ko apne añgūr kar duuñ

    mire ishq par koī tohmat na dharnā

    agar tum kaho ḳhud ko mansūr kar duuñ

    agar mil sake mujh ko ashkoñ ke badle

    ġham-e-ishq se ḳhud ko ma.amūr kar duuñ

    agar aañkh bhar ke vo dekhe mujhe to

    maiñ dil us ḳhidmat pe māmūr kar duuñ

    girā duuñ maiñ nafrat dīvāreñ saarī

    mohabbat ko duniyā manshūr kar duuñ

    zamane ko ulfat ka dastur kar dun

    main teri kahani ko mashhur kar dun

    tere samne ro lun ji chahta hai

    tere dil ko bhi gham se main chur kar dun

    masiha ka ehsan nahin chahti hun

    main zaKHmon ko apne hi angur kar dun

    mere ishq par koi tohmat na dharna

    agar tum kaho KHud ko mansur kar dun

    agar mil sake mujh ko ashkon ke badle

    gham-e-ishq se KHud ko mamur kar dun

    agar aankh bhar ke wo dekhe mujhe to

    main dil us ki KHidmat pe mamur kar dun

    gira dun main nafrat ki diwaren sari

    mohabbat ko duniya ka manshur kar dun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now