zamane mein fasana ban gai diwangi meri
zamāne meñ fasāna ban ga.ī dīvāngī merī
tire parda ne kī parda-nashīñ parda-darī merī
tū hī ai be-ḳhudī-e-shauq kar kuchh rahbarī merī
usī markaz pe lekin aaj tak hai be-ḳhudī merī
har ik parda uThā degī kisī din be-ḳhudī merī
ki jān-e-manzil-e-maqsūd hai gum-gashtagī merī
vahī be-tābiyāñ jin ko balā-e-jāñ samajhtā thā
vahī betābi-e-paiham banī hai zindagī merī
na sahrā hai na gulshan hai na rasta hai na manzil hai
ḳhudā jaane kahāñ le jā rahī hai be-ḳhudī merī
tire jalve har ik shai meñ nazar aane lage lekin
yahīñ mahdūd ho kar rah na jaa.e be-ḳhudī merī
hudūd-e-be-niyāzī tak to mujh ko khīñch laa.ī hai
na jaane ab kahāñ le jā.egī vāraftagī merī
tirī sūrat nigāhoñ se kabhī ojhal nahīñ hotī
karishme haiñ tire jalvoñ ke yā sūrat-garī merī
nigāheñ multafit lab par tabassum kaif āñkhoñ meñ
Thahar jaa.e isī markaz pe yārab zindagī merī
falak pā-bos hotā hai malā.ek sajda karte haiñ
kahāñ le aa.ī mujh ko aaj shān-e-bandagī merī
na.īm-e-ḳhuld to badla hai jaañ kā mil gayā lekin
bahā-e-dard-e-dil aur qīmat-e-dīvāngī merī
hijābāt-e-mohabbat ḳhud-baḳhud tai hote jaate haiñ
nigāh-e-kufr-sāmāñ kar rahī hai rahbarī merī
'munīr' ik din zamāne ko zamāna maiñ banā dūñgā
kahāñ tak rā.egāñ jā.egī āḳhir be-ḳhudī merī
zamane mein fasana ban gai diwangi meri
tere parda ne ki parda-nashin parda-dari meri
tu hi ai be-KHudi-e-shauq kar kuchh rahbari meri
usi markaz pe lekin aaj tak hai be-KHudi meri
har ek parda uTha degi kisi din be-KHudi meri
ki jaan-e-manzil-e-maqsud hai gum-gashtagi meri
wahi be-tabiyan jin ko bala-e-jaan samajhta tha
wahi betabi-e-paiham bani hai zindagi meri
na sahra hai na gulshan hai na rasta hai na manzil hai
KHuda jaane kahan le ja rahi hai be-KHudi meri
tere jalwe har ek shai mein nazar aane lage lekin
yahin mahdud ho kar rah na jae be-KHudi meri
hudud-e-be-niyazi tak to mujh ko khinch lai hai
na jaane ab kahan le jaegi waraftagi meri
teri surat nigahon se kabhi ojhal nahin hoti
karishme hain tere jalwon ke ya surat-gari meri
nigahen multafit lab par tabassum kaif aankhon mein
Thahar jae isi markaz pe yarab zindagi meri
falak pa-bos hota hai malaek sajda karte hain
kahan le aai mujh ko aaj shan-e-bandagi meri
naim-e-KHuld to badla hai jaan ka mil gaya lekin
baha-e-dard-e-dil aur qimat-e-diwangi meri
hijabaat-e-mohabbat KHud-baKHud tai hote jate hain
nigah-e-kufr-saman kar rahi hai rahbari meri
'munir' ek din zamane ko zamana main bana dunga
kahan tak raegan jaegi aaKHir be-KHudi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.