zamane mein gham-e-ulfat ke diwane bahut se hain
zamāne meñ ġham-e-ulfat ke dīvāne bahut se haiñ
sharāb-e-aish-o-ishrat ke bhī mastāne bahut se haiñ
hamāre ġham se nā-vāqif ka.ī ahbāb haiñ ab tak
hai ye hairat ki ḳhud apnoñ meñ begāne bahut se haiñ
mirī dīvāngī ne mujh ko pahuñchāyā vahāñ āḳhir
jahāñ dīvāne kam haiñ aur farzāne bahut se haiñ
mohabbat kā bhī kyā iqbāl hai vahshat kī duniyā meñ
hai ābādī bahut kam aur vīrāne bahut se haiñ
zarā baḌh kar to dekh āḳhir ye dastak dar pe dī kis ne
dil-e-majbūr tere jaane pahchāne bahut se haiñ
hai ḳhud-bīnī kī hasrat to chale aao mire dil meñ
ye vo gosha hai jis meñ ā.ina-ḳhāne bahut se haiñ
piye jaatā huuñ saaqī terī kaif-āvar nigāhoñ se
agarche mai-kade meñ tere paimāne bahut se haiñ
hazāroñ lākhoñ nazrānoñ kā nazrāna hai sirf ik dil
tujhe dene ke qābil yuuñ to nazrāne bahut se haiñ
tire kūcha meñ jiinā hai tire kūcha meñ marnā hai
uḌānī hī agar ho ḳhaak vīrāne bahut se haiñ
charāġh-e-ma.arifat ko ab na karnā chāhiye raushan
bahut kam ḳhaas haiñ aur aam parvāne bahut se haiñ
haram jaane se pahle hai butoñ kā toḌnā lāzim
tumhāre dil meñ bhī 'akmal' sanam-ḳhāne bahut se haiñ
zamane mein gham-e-ulfat ke diwane bahut se hain
sharab-e-aish-o-ishrat ke bhi mastane bahut se hain
hamare gham se na-waqif kai ahbab hain ab tak
hai ye hairat ki KHud apnon mein begane bahut se hain
meri diwangi ne mujh ko pahunchaya wahan aaKHir
jahan diwane kam hain aur farzane bahut se hain
mohabbat ka bhi kya iqbaal hai wahshat ki duniya mein
hai aabaadi bahut kam aur virane bahut se hain
zara baDh kar to dekh aaKHir ye dastak dar pe di kis ne
dil-e-majbur tere jaane pahchane bahut se hain
hai KHud-bini ki hasrat to chale aao mere dil mein
ye wo gosha hai jis mein aaina-KHane bahut se hain
piye jata hun saqi teri kaif-awar nigahon se
agarche mai-kade mein tere paimane bahut se hain
hazaron lakhon nazranon ka nazrana hai sirf ek dil
tujhe dene ke qabil yun to nazrane bahut se hain
tere kucha mein jina hai tere kucha mein marna hai
uDani hi agar ho KHak virane bahut se hain
charagh-e-marifat ko ab na karna chahiye raushan
bahut kam KHas hain aur aam parwane bahut se hain
haram jaane se pahle hai buton ka toDna lazim
tumhaare dil mein bhi 'akmal' sanam-KHane bahut se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.